Thursday, 4 February 2016

Kis baat ka dar?

Jaane kis pal se kis pal ka dar
Jiska ant nahi shuruwat nahi
Jiya hu itna dar dar k
Kis baat ka dar tha yaad nahi

Beet gaya jo bura kal main usko
Dar me zinda rakhta hu
Darwaze se meelon duur ki dastak
Ghar me zinda rakhta hu

Anjaan sheher me khoyi khushi ka
Gham nahi fariyaad nahi
Jiya hu itna dar dar k
Kis baat ka dar tha yaad nahi

Sehmi umeede soti hain
Jahan nikalti thi duwaein dil se
Chhoot gyi kismat ki dori
Armaano ki satvi manzil se

Beeti khushi pe fir thirakna
Pal do pal ki baat nahi
Jiya hu itna dar dar k
Kis baat ka dar tha yaad nahi

No comments:

Post a Comment